July 22, 2008

Ek Sawaal...

Main bhool jaaoun tumhe, ab yehi munaasib hai
Magar bhulana bhi chahoun toh kis tarah bhooloun?
Ke tum toh phir bhi haqeeqat ho, koi khwab nahin..

Yahan toh dil ka yeh aalam hai, kya kahoun..

Bhulaa saka na yeh woh silsila joh tha hi nahin;
Woh ek khayal jo awaz tak gaya hi nahin;
Woh ek baat jo main keh nahin saka tumse;
Woh ek rabt jo hum mein kabhi raha hi nahin;
Mujhe hai yaad woh sab jo kabhi hua hi nahin..

Agar yeh haal hai dil ka, toh koi samjhaaye
Tumhein bhulana bhi chahoun toh kis tarah bhooloun?
Ke tum toh phir bhi haqeeqat ho, koi khwab nahin..

No comments:

Post a Comment